Friday, 6 September 2019

Mere Bhava
 (Ek shikshak ka apne Students ke liye...)

Tum Shan ho
Tum mahan ho
Tum mera abhiman ho

Tum samaj me nayi jan ho
Tum tufaan ke saman ho
Tum meri pehchan ho

Tum swayam me ek nam ho
Tum khel khel me ek khoji insan ho
Tum dusre ko samman dene wale  divyatma mahan ho...

Mai shikshak tabhi mahan jab tu khada mere saman ho
Tu rastra uthan ka Gaurav tum yuva desh ke jawan ho
Tum mamta ki murti bhavi shishak tum mahan ho

Tum gyan bantane wale vidya shiksha ke vidwan ho
Mulya aur sanskar bhara jeeven jeene wale divya heere tumhe mera naman ho
Satat abhivadan ho.... ✨